Thursday, December 24, 2015

Ghulam Ali : Selected Gazals (with Lyrics)


Ghulam Ali - Chupke Chupke Raat Din Aansoo Bahana Yaad Hai - | Ghazal 


LIVE https://youtu.be/MOyfaTxs6D8



Chupke Chupke Raat Din lyrics



Chupke chupke raat din aansuu bahanaa yaad hai
Ham ko ab tak aashiqii kaa vo zamaanaa yaad hai
Tujhase milate hi vo kuch Bebaak ho jaanaa meraa
Aur teraa daaton mein vo Ungalii dabaanaa yaad hai
Chori Chori ham se tum aa kar mile the jis Jagah
Muddatein Guzarin par ab tak wo Thikaanaa yaad hai
Khench lenaa vo meraa parde kaa konaa daffaatan
Aur Dupatte se teraa vo Moonh Chhupaanaa yaad hai
Do-pahar ki dhuup mein mere bulaane ke liye
Vo teraa kothe pe nange paaoon aanaa yaad hai
Baahazaaraan iztiraab-o-sad-hazaaraan ishtiyaaq
Tujhase vo pahale pahal dil kaa lagaanaa yaad hai
Jaan kar sotaa tujhe vo qasa-e-paabosii meraa
Aur teraa Thukaraa ke sar vo muskuraanaa yaad hai
Tujh ko jab tanhaa kabhii paanaa to az_raahe-lihaaz
Hal-e-dil baatoon hii baatoon mein jataanaa yaad hai
Jab sivaa mere tumhaaraa koii diivaanaa na thaa
Sach kaho kyaa tum ko bhii vo kaarKhaanaa yaad hai
Gair kii nazaroon se bachakar sab kii marzii ke Khilaaf
Vo teraa chorii chhipe raatoon ko aanaa yaad hai
Aa gaya gar vasl kii shab bhii kahiin zikr-e-firaaq
Vo teraa ro ro ke bhi mujhko rulaanaa yaad hai
Dekhanaa mujhako jo bargashtaa to sau sau naaz se
Jab manaa lenaa to phir Khud ruuTh jaanaa yaad hai
BeruKhii ke Saath sunaanaa Dard-e-Dil kii dastaan
Aur kaliye mein tera vo kangan ghumaanaa yaad hai
Vaqt-e-RuKhsat Alvidaa kaa Lafz Kahane ke liye
Vo Tere Sukhe Laboon kaa thar-tharaanaa yaad hai
Baavajuud-e-iddaa-e-ittaqaa 'Hasrat' mujhe
Aaj tak ahad-e-havas kaa ye fasaanaa yaad hai

Submitted by Guest




 

https://youtu.be/vdzcBlFYKyU

Chamakte Chaand Ko lyrics


huuun huuuum aaaa aaa-2
(chamakte chand ko
chamakte chand ko tuta hua tara bana dala X2
meri aawargi ne mujhko aawara bana dala
chamakte)-2
huuun huuuum aaaa aaa-2
bada dilkash bada rangeen hai yeh shehar kehte hain X2
yahan par hain hazaron ghar gharon mein log rehte hain
mujhe is shehar ne galiyon ka banjara bana dala
chamakte chand...
main is duniya ko aksar dekh kar hairaan hota hun X2
na mujhse ban saka chhota saghar,din raat rota hun
khudaya tune kaise ye jahan sara bana dala
chamakte chand...
mere malik, mera dil kyun tadapta hai, sulagta hai X2
teri marzi , teri marzi pe kiska zor chalta hai
kisi ko gul, kisi ko tune angara bana dala
chamakte chand...
yehi aagaz tha mera, yehi anjam hona tha X2
mujhe barbaad hona tha, mujhe nakaam hona tha
mujhe taqdeer ne taqdeer ka mara bana dala
chamakte chand...








Jabse Tune Mujhe Deewana Bana Rakha Hai lyrics

      

jabase tune mujhe deewaana bana rakha hai
sang har shaks ne haathon mein utha rakha hai
usake dil par bhi kadi ishq me guzari hogi
naam jisane bhi muhabbat ka sazaa rakha hai
pattharon aaj mere sar pe barasate kyon ho
mainne tujhako bhi kabhi apana khuda rakha hai
ab mere deed ki duniya bhi tamaashaai hai
toone kya mujhako mohabbat mein bana rakha hai
nannanana jab se tune haan jab se tune




https://youtu.be/vpHpiiPmdRI

 

hum ko kis ke ghum ne mara ye kahani fir sahi lyrics

 
DIL KI CHOTON NE KABHI CHAIN SE RAHNE NA DIYA
JAB Chali SARD HAWA MAIN NE TUJHE YAAD KIYA
IS KA RONA Nahi KYON TUM NE KIYA DIL BARBAAD
IS KA GHAM HAI KE BAHUT DAIR MEIN BARBAAD KIYA
HUM KO KIS KE GHUM NE MARA YE KAHANI PHIR SAHI
KIS NE TODA DIL HAMARA YE KAHANI PHIR SAHI
DIL KE LUTNAY KA SABAB POOCHHO NA SABKE SAAMNE
NAAM AAYEGA TUMHARA YE KAHANI PHIR SAHI
NAFRATON KE TEER KHAKAR DOSTON KE SHEHAR MAIN
HUM NE KIS KIS KO PUKAARA YE KAHANAI PHIR SAHI
KYA BATAAYEN PYAAR KI BAAZI WAFA KI RAAH MEIN
KAUN JEETA KAUN HAARA YE KAHANI PHIR SAHI










Itni Muddat Baad Mile Ho lyrics


Itni muddat baad mile ho
Kin sochon mein goom rahte ho
Tej hawaa ne mujhase pucha
Ret pe kya likhte rahte ho
Kaunsi baat hai tumme aaise
Itne achche kyun lagte ho
Hamse na pucho hizr ke kisse
Apni kaho, ab tum kaise ho.



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
MISCALLENEOUS





Ghulam Ali song lyrics
·         Ab Toh Iss Tarah
·         Abra Barsa Na Hawa
·         Baagon Mein Pade Jhoole
·         Bheed Mein Ek Ajnabi
D
·         Dekhkar Dilkashi Zamaane Ki
·         Dil Mein Kisi Ke
·         Dukh Ki Lehar Ne Chheda Hoga
E
·         Ek Hamein Aawara Kehna
·         Ek Lamha Maykade
·         Ek Pagli Mera Naam
H
·         Hamne Hasrato Ke Daag
·         HUNGAAMA HAI KYON BARPAA
·         Iska Rona Nahi
J
·         Jahaan Talak Bhi Ye Sehra
·         Jan Tasawuur Mera Chupke Se

K
·         Kaab Banke Bikharti Jaati Hai
·         Kaahe Banao Jhoothi
·         Kutch Soch Raha Hu
·         Na Jaane Kab Wo Palat Aaye
·         Nagri Nagri Phira Musafir
·         Purani Hawaa
·         Ruk Gaya Aankh Se
·         saki sharab la
·         Tum Bin Aawe Na Chain
·         Woh Jo Hum Mein Tum Mein
·         Woh Kabhi Mil Jaaye Toh
Y
·         Ye Faasala Jo Pada Hai
·         Yeh Dil Ye Pagal
·         Zakm-e-Tanhaai Mein


No comments:

Post a Comment